BAAL NIKALNE SE GHULS KA HUKM ?

Sawal :Assalamualaikum hazrat kya naaf k niche k baal aur bagal k baal nikal ne se gusul wajib hota hai ya bina gusul k namaz aur roza nahi rakh sakte plz is masle main roshni ata kijiye Sukriya JazakhAllah .
(Ek islami bhai)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Zere Naaf aur Baghal ke Baal nikalne baad Ghusl karna Mustahab hai,wajib Nahi hai,lehaza Ghusl ke Baghair bhi Wazu ke saath Namaz aur Baghair wazu ke Rozah rakh sakte hai.
(Badayius Sanaiy,Vol/1)
Yaad rahe ke zere Naaf ke Baal 40 din ander saaf karna hai,warna Sunnat ki khilaf warzi lazim ayegi.
Note : Maafi ke saath ye post isliye daalna pada ke kayi nawjawan hote hain,jinko iske bare me Nahi malum hota aur wo poocnhe se Sharma jate hai,isliye hum sabke faideh keliye ye post kiye hai…..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulialm,com.

You might also like