27wi SHAB KO QURAN BAKSHANA ?

Sawal :Assalamualaikum,Maulana,
Ek sawal tha marhomin ko Jo Quran bakhstiii o. 27 hi ko bakhshna kya ya phirr kabi b karsakte ?
(Ahmadi Begum)?),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Marhumeen ke Naam per Quran e Kareem ka sawab pahonchana(Bakshna) 27 Ramaz ki Shab me isliye Aksar log Bakhshate hain,kyu ke Us Raat Allah ki Khaas Rahmat ka Nuzool hota hai,us Rahmat ke Saye me Rab ke Fazal ko Hasil karne ki Niyyat se Bakshate hain,
Aur Aksar Ulama e Kiram usi Raat 27 ko Shab e Qadr bhi kahe hain,
Ye Bakshana 27 wi Shab ko hi zaroori Nahi hai,Balke 21,23,25,ya 29 wi shab ko bhi Baksha sakte hain,ya kisi bhi Din Baksha sakte hai,Bus Marhumeen ko eisal e Sawab karna Maqsad hota hai,jo Kabhi bhi karsakte hain,aur Ye Hadeeso se sabit Bhi hai.
(Mishkatul Masabeeh,Vol/1).
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site .anwaarulislam,com.

You might also like