GHAR ME NAMAZ E TARAVEEH KE AHKAAM

Deen e Islam me Bohat se Afzal wa Aala Aamal hain,jin me se Ek Afzal Amal “Quran Ki Tilawat”Aur Uski “SAMA’AT(Listening)hai,Ye Amal Allah ke paas Mahboob Amal hai,Allah ke Kalam ko Padhna bhi Ibadat aur Sunna bhi Ibadat hai,Jab Bandah Quran Padhta hai,to Zahir me tilawat hoti hai,lekin Haqeeqat me Allah se Hum Kalami hoti hai,Aur Ye Ummate Mohammadiyyah ki Khisoosiyat me se hai,me Jab Aur Jaha bhi Chahe Ummati Allah se Kalam Karna Chahe to Wo Quran ki Tilwat Shuru karde to Rabb se Hum Kalami ka aaghaz hojata hai,Alhamdulillah
Aur Usko Sun ne Keliye Aasaman se Farishteh Nazil hote hain,phir uske liye Bakhshish wa Rahmat ki Duae dete hain,
Ye Mauzoo Taveel hai,lekin iskhtesar se ye ke :Quran ki Tilawat wa Sama’at ke Bohat Mawaqe Aur Awaqaat hain,jin me Sab se Aala Mauqah Ramazan ul Mubarak ka Mahinah hai,isme Qurani Har Ayat ke Harf ke Badleh 70 Nekiya di jati hain,Aur Agar wo Usko Namaz e Taraveeh me Bataur e Qiyam padh le to Nekiyo ke Saath Saath Bakhshish bhi hojati hai,jaisa ke Hadees e Paak me aya hai,ke :
من قام رمضان ايمانا و احتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه.
(صحيح البخاري، ٢٠٠٩،باب فضل من قام رمضان)
Rasoolullah sallallahualihiwasallam ne farmaya: Jo Ramaz me Eiman wa Ehtesab ki Halat me Qiyam karega to Uske Pichle Saare Gunah Maaf kardiye jate hain.

● Namaz e Taraveeh ke Ahkaam :
Is Saal 2020 me Corona VIRUS (Covid19) se Hifazat wa Bachav keliye Aksar Mulko me Namaz e Taraveeh Masjid ke Bajaye Ghar me Ada karne ke Muta’alliq Muftiyan e Kiram wa Ulama e Izam Fatwe bhi diye hain,aur Hukoomate(Govt) ne bhi Kaha hai,to is per Amal karne hi me Saare Insaano keliye Bhalayi hai,
Namaze Taraveeh Ghar me bhi Ada karsakte hain,Aur Usko Jamat ke Saath Ada kare to Afzal hai,Agar Ghar me Hafiz e Quran ho to Bohat Behter hai,
Agar Hafiz e Quran Na ho to kisi ko Surah Alam Tara(سورة الم تر سے سورة ناس) se Surah Naas tak bhi Yaad ho Yani 10 Sareh to Kaafi hai,10 Sureh Yaad Na sirf 2 Sureh Yaad ho to Kaafi hai,Agar 2 bhi Nahi sirf 1 hi surah Yaad ho to usko 20 Rakaat Namaze Taraveeh me padhne ki ijazat hai,in Surato me zariyeh Namaz e Taraveeh Ba Jamaat ada karsakte hain,kyu ke Allah ne farmaya :
فاقرءوا ما تيسر من القرآن
(سورة مزمل:٢٠)
Tumhe Jo Quran me Aasan ho wo Padho.
Agar Ghar me 3 ya 2 Afrad ho to bhi Namaz e Taraveeh Ba Jamat keliye kaafi hai,Agar us se ziyadah ho to Behter hai,(LOCKDOWN ke Peshe Nazar Sirf Gharwale hi)
● Saffo(lines) ki Tarteeb is tarah ho..
☆ Pahle Mardo ki Saff
☆ Aurato ki Saff
☆ Chote Bacho ki Saff
Is tarah Saff Bandi karke Namaz ada karna hai,
● Namaz e Taraveeh ki Niyyat:
Aaj Mai 20 Rakaat Namaz e Taraveeh 2..2..Rakaat se Padhta hoon/Padhata hoon(Imam ho to) Mooh mera Kaba Shareef ke Waasteh Allah keliye.
Ya Har 2 Rakaat per 2 Rakaat keliye Alag Alag Niyyat bhi Karsakte hain,
Note : In Alfaaz ke Alawah Alfaaz se bhi Niyyat karsakte hain,
Yaad rahe ke Jitna Ziyadah Quran Ghar me Padha jayega Utne hi Ziyadah Farishteh Aap ke Ghar me Mahmaan Ban kar Ayenge Aur Rahmat,Barkat wa Bakhshish ke Tohfe layenge..Insha Allah.
Written By:
MUFTI RAHMATULLAH QADRI
(Founder TANZEEM ANWAARULISLAM,India)
For more information visit our islamic website
Www.anwaarulislam,com.

You might also like