DOODH PILANE WALI MAA KA ROZAH ? !

Sawal :Assalamu alekh mufti sab agar koi lady k bacha chota hai sur dudh pita ho to kya vo roza rkh kar use dudh pila sakti h kya ?

(Mohammed Shahid Ashrafi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Agar koi Khatoon(Lady) Sahib e Awlaad ho aur use apne Bacho ko Doodh pilana ho aur wo us Halat me Rozah Rakhne se Kamzor hone ka Andesha ho ya Beemar hone ka yaqeen ho ya Doodh ka Bhook ki wajah se Rukjane ka bhi darr ho to aysi Soorat me wo Lady Rozah Chod kar dooare dino me uski Qaza karle kyu ke Choote huve Rozo ki Qaza karna Wajib hai,
Haan,Agar aysa kuch bhi Na ho to wo Lady Rozah rajh kar bhi Doodh pilaye to Rozah Nahi toot ta hai.
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/230),
Note : Ye Maa hi hoti hai,Jo Apne Bacho ki SEHAT ke liye Apne Rab ki IBADAT ki Qaza karne ko bhi Raazi hojati hai,aur 70 Maavo se ziyadah Mohabbat karne wala Rab bhi Apni Ibadat ko Maa ki Mohabbat ki khatir Mauqoof karne ki ijazat deta hai….!!!
Plz..Share it to All,for more visit our uslamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like