786 LIKH SAKTE YA NAHI ?

Sawal :Assalamualykum rehmatullahi wabarkatuhu mufti Sahab Kia 786 likhna haram hai ?
Bare meherbani jawab innyat farmayaee daleel ke sath
Jazakallah khair
(Ahmed Khan Naqshbandi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Dunya me kayi ilm maujood hain,un me se ek ilm “ILM UL AADAD” hota hai,jisme Adad(Numbers) ke zariyeh meaning Nikalte hai,aur ye Nabi e paak (sallallahualihiwasallam) ke zamaneh me bhi maujood tha aur ab bhi us ilm ko Baaz Jaan ne wale bhi hain,
Sahi Bukhari shareef ke Kitab ul Wahi me is ilm ke bare me batay gaya hai, lehaza *786* se Bismillahir Rahmanir Raheem ke meaning Aate hain,to isko likhna HARAM Nahin kahenge,
Haan,ye kahenge ke Xiyadah behter likhan kaunsa Hai,to Behter Mukammal *Bismillahir Rahmanir Raheem* lekhna hai..kahenge 786 Likhna Haram nahi hai,uske bhi likhne ki ijazat hai,kyu ke ye ILM UL AADAD Hadees se sabit hai.
(Sahi Bukhari,Vol/1,Kitabul Wahi),
Note :Ab us Adad se Ghalat matlab nikale to wo un nikalne walo ka Qusoor hai,kyu ke aysi Choti Baato pe ziyadah Bahes wa Takrar bhi Munasib Nahi hai.
Plz…Share it to All,fpr more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like