NON MUSLIMS K IFTAR PARTY ?

Sawal :Assalamu alaikum mufti sahab

Kya non Muslim masjid me iftari,cool water bhejte hai uska use Karna kaisa hi?
(Mohammed Azmath),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Non Muslim ka Musalmano keliye Iftari me Kuch Fruits ya Water ya Phir Saari hi Iftari ka Intezam karna ye Insaani Rawadari,aur Bhai Chari ka izhar hota hai,aur ye Saare Insaano keliye Bhalayi ki Baat hai,Aur Shareeat me Unki Iftari Qubool karne ki ijazat hai,kyu ke Wo Cheeze to Halal hi hoti hain,Ab unke Maal ka Taalluq Un logo se hi hoga,Iftari khane wale ko koi Pooch Nahi hogi,
Aur is Nek Kaam ka Ajr unko Dunya me hi diya jayega,Aakhirat me uska koi Hissah Nahi hoga.
Note : Yaad Rahe in Non Muslims ki Iftar Partiyo ko Siasat ka Rang Nahi dena Chahiye jo Masjid ke zimmahdar hote hain,Akhirat me unse Pooch hogi.insha Allah.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like