TALAQ KE BAAD MIL KAR RAHNE KA HUKM

Sawal : Assala mua,alaikum Muftiyane ikram,
kya far mate hain is ma’s,ale ke bare me Zaid ne apni biwi hinda ko talaq de di teen martaba zaid ilm bhi rakhta hai ke ye aurat jaiz nahi Firbhi use apne pass rakhta hai Logo ne use kaha ye galat hai Aur aap to pare likhe fibhi ghar me rakhe huye hai zaid ne kaha mene toba karli Zaid jante huye bhi ke ye galat hai firbhi kar raha hai Sharhi huqm kya hai ?
(mohammed Danish),

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Jab shohar apni bivi ko 3 talaq deta hai,to ab wo dono apas me ajnabi ki tarah hai,ab shohar us ladki ko dekhna bhi ” HARAM” hai,saath rahana to gunah e kabeerah me se hai,awr ab zaid ka kahna ke maine ” TAUBAH” karli hai,to taubah apni jagah hai,lekin talaq ka hukm awr hai,taubah se wo khatam nahi hota hai,agar zaid phir se apni bivi se milkar rahna chahta hai,to apni bivi ka “HALALAH” (uske bivi ka kisi doosre aadmi se nikah hone ke baad phir wo dono apas me milne ke baad jab wo talaq de to iddat guzarne ke baad ab zaid us se nikah karsakta hai) ke baad nikah kar sakta hai,warna un dono ka pas me milna “ZINA KARI” hai,awr unse paida hone wali awla ” HARAMI AWLAD” kahlati hai,
(Al Quran,vol/2,surah,baqarah),
Note : aaj kal ye moamlaat ziyadah horahe hai,bandah samajhta hai,ke is kaam ko kaun dekh raha,magar wo bhool raha hai,ke ALLAH SABKO DEKHTA HAI,!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
PLZ,,read and share it

You might also like