TALAQ KE BADNE KE ASBAAB ??

Sawal : asslamu alaikum mufti saheb aaj kal hamre muslim mashre me talaq ka tho mano ek toofan sa chal pada hai talaq lena badi mamuli si cheez hogayi hai talaq shairiyat me kitni buri cheez hai.bade mahrbani batyen aur aksar dekha jata hai ke love marrieges zyaada naakaam hote hain is kya wajah ho sakti hai .?
(Mohammd umer naqshbandi),
Jawab : Walikumassalam wa rahamtullah,,,Talaq jaha dono yani shahar wa bivi keliye zahmat hai,wahi wo na guzeer halaat me ek zaroorat bhi hai, to jahatak aaj moashrah me choti choti baato per talaq di jarahi hai,ye ek bilkul hi ghlat baat hai,kyu ke Hadees e paak me aya hai,ke jab zameen per koi shaks apni bivi ko baghir kisi wajah ke talaq deta hai,to Aasman per ARSH E ILAHI ko harkat hoti hai,to hame chahiye ke nikah ek ibadat hai,ye miya bivi dono keliye rahmat hai,awr burayio se hifazat hai, isko ghaneemat jane awr mil jhul kar zindagi guzarne ki koshish kare ,,khamiyo ko talash na kare balke khoobiyo per khush hone ki aadat dal le ,,,kyu ke har insaan me to khamiya ziyadah hoti hai,awr khoobiya kam,,,

note : Nikah dawlat ka zariyah na samjho balke “SUNNAT” samjho to Nikah qayim bhi rahega wa dayim bhi.

plz,,read and share it.

You might also like