DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF, 8th day,Chapter : Taharat,

 

Hazrat Usman bin Affan (rz) se rivayat hai,kaha ,maine Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) se irshad farmate huve suna hai,jab Momin acchi tarah Wazoo banaleta hai,awr Namaz padhleta hai,to Allah tala uski is Namaz awr doosri aane wali namaz ke Darmiyan jitne gunah (galati se hojaye) hai,unki Bakhshish farmadete hai,

Dars : Momino Dekha Wazoo wa Namaz ki kitni fazeelat hai ke uske darmiyan me jo waqfah ho awr galati se gunah hojaye to baghir kisi doosre amal ke allah bandeh ke gunah yani sagheera (chote gunah) maaf farma raha hai,agar hum rozanah Namaz padhle to kiya hamare gharo me barakaten Nahi hongi ?
kyu ke jab bandah gunahon se paak hota hai to allah uski zindagi me rahmat wa barkat ki barish barsa dete hai,
Allah hum sabko Namazi banade…

You might also like