CHOTE BACCHO KI NAMAZ AWR UNKE GUZARNE KA HUKM

Sawal :As salamu alaikum
Hazrat ek sawaal…
Masjid me jab hum sab namaz ada karte hain to dauran e namaz saamne se guzarna mana hai,, to kya hamari namaz namaz hai aur jab chote ladke namaz ada karte hain to hum bina koi harj saamne se guzar jaate hain aur agar namaz chal rahe ho to bhi hum bachhon ko saf se alag ya peeche kardete hain ye hamara kaam sahi hai ya hume kis tarha ye kaam karna chaheye ….
Aap ka islami bhai ?
(Rafeeq Mohd),
Jawab : Walikumassalam wa rahamtullah,,Hadees e paak me aya hai,ke Namaz padhne wale ke saamne se guzarna ye
” GUNAH E KABEERAH ” Hai,
(Hashiya e Turmizi,Vol/1),
yani Bada Gunah hai,haan jahatak chote baccho ki baat hai,wo to abhi “MUKALLAF” yani Baligh wa Jawan nahi huve hai,to unki Namaz to Mukallifeen ki Namaz ka hukm nahi rakhti hai,bus unki tarbiyat keliye hoti hai,to unke saamne se agar koi guzre to wo gunahgaar nahi hoga,haan agar Namaz ki soorat ka Adab bhi kare to bohat behter hai,
Awr chote bacho ko Pahli saff se Namaz me tarbiyat aur saffo ke khalal ko door karne keliye unko peeche hi karna hai.

plz,, share it to All,For islamic Service.

You might also like