QURBANI KE GOSHT KI TAQSEEM ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jab 7 log ek janwar me Qurbani ki Niyyat se shareek ho to us Qurbani ke gosht kise  apas me taqseem karle ? aur kiya wo saara gosht kisi madarseh me de sakte hai ?

( Mohammed Asif),

Jawab : Walikumassala wa rahmatullah,,

Jab 7 log ek Qurane ke janwar me qurbani ki Niyyat se shareek hoto ab wo apas me sirf gosht hi rakhe ho to Ab Gosht ko wazn(waight) karke lena hoga ,agar us gosht me Janwar ke pair,sar waghirah bhi shamil karle to ab us gosht ko Andazeh se bhi apas me taqseem karne me koi Haraj Nahi hai,

aur Qurbani ka saara gosht kisi madarseh me dena chahe to de sakte hai,qurbani hojati hai,aur is tarah gosht dene ki bhi ijazat  hai.

(AL KIFAYAH,VOL/8,Pg/430),

You might also like