QURBANI KE JANWAR KO ZAKHM ?

Sawal : Assalamualykum Warahmatulahi Wabarakatu Mufti Sahab Ek Sawal Thaa Ye Ki ” Qurbani Ka Janwar Lete Waqt Accha Thaa Magar Lene Ke Bad Ghar Par Kuch Zaqam Hogaya Hai Yani USS Ke Dum Par Maar Lagya Hai Iss Waqt Kya Kare??? Wo Janwar Ki Qurbani Kare ..Kare Tu Hoti Ya Nahi” ??? Barai Maharbani Jawab Irshad Farmai.Jazakallah O Khaira…
(Hafiz Mohammed Khan Naqshabandi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Janwar Jab Khareeda gaya tha to Sahi tha aur us per Zakhm bhi Nahi the,lekin Jab Ghar me kuch Din Rakhne ke Baad Zakhm hogaya ho to dekhenge ke Us zakm se kahi us ke Aaza Nakarah to Nahi huve ya Wo Zakhm Kisi Aaza ke Ek Tihayi 1/3 ko Nakarah kardiya ho to Us Janwar se Qurban Nahi desakte hai,
Agar itna zakhm Na ho Balke Thoda hi Zakhm ho to us se Qurbani Hojati hai,wo janwar qurbani ke Layiq hai.
(Al Hidayah,Vol/7,Pg/166)

You might also like