EID KI NAMAZ SE PAHLE NAFIL ?

Sawal: Assalamualikum,Mufti saheb,

Baaz log kahte hai,ke Eid ki Namaz se pahle 2 Rakaat Namaz Nafil Eidgah me Padhna hai ? to kiya ye sahi hai ? iska kiya hukm hai? wazahat farmaye to mahebani hogi ?

(Mohammed Ameer ),

Jawab: Walikumassalam wa rahamtullah,,

Namaze Eid se pahle 2 Rakaat Nafil Namaz padhna “SUNNAT SE SABIT NAHI ” hai,aur Baaz Ulama ne to Eid se pahle 2 Rakaat Nafil ko Eidgah me padhne ko ” MAKROOH” kahe hain,kyu ke Hadees me Aya hai,ke.

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha :Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Eid se pahle Nafil Namaz ada nahi ki hai,aur jab Ghar laute to 2 Rakaat Ada farmayi hai.

(Sunane Ibne Majah,H,No :1193)

You might also like