DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :188 ,

Hazrat Qadamah Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko Sawari per Kankari Maarte dekha hai,to waha Kisi Qisam ka Dhakelna aur Kheenchna Na dekha aur Na hi Kankariya ek doosre per Marna dekha hai.
(Vol/1,H,No :913),
Dars :Is me Ramee jimar ke Aadab bataye gaye hai,ke Kankari Maarte waqt Baazu Walo ka Bhi Khayal kare,Ek Doosre ko Na Dhakele aur Na Kheenche Jiski wajah se Dono ke Araakine Hajj Sahi ada Nahi honge,aur us se Kayi Jaani aur Badani Noqsanaat bhi hosakte hai,
■■ Kankari Kise Phenke : Kankari ko Anghote(Thumb) aur Shahadat ki Ungli ke Poore(Uper ke Hisseh) se pakad kar Apni Seedhi Janib se phenke,aur Haatho ko Baghal se Juda rakhe yani Baghal kankari phenkte waqt khul jaye,
Kankari phenkte waqt Talbiyah padhe ya kalimah padhe, Jo Dua yaad ho wo padhe..
Bus Dunya ki Baate Na kare aur Na Pukare..
Allah sabko Nek Taufeeq ata kare..Ameen.

You might also like