SOCIAL MEDIA PER AURATO KI KHIDMAT ?

Sawal : Assalamu alaikum Mufti sahab Mujhey 1 sawal puchna hai aapse Kya aurat fb par Deen ka kaam Nahi kar sakti Matalb ke hadish wh quraan ki baate fb par kar Send kar sakti hai ya Nahi ?

(Muslim Salonki),

Jawab :Walikumassalam Wa Rahmatullah,

Aurate(Ladies) Social Media (Face Book,Twitter..etc) per Sharyee Hudood me Rahkar Deeni Khidmaat Ada karsakti hai,kyu ke Deeni khidmat karne keliye Aaj ke daur me kayi asbab dunya me hai,unme se Khas kar Social media ek bada Zariyah bana huva hai,to har tarah ke Asbaab ko deeni khidmaat anjaam dene me Mard wa Aurat unko istemal karsakte hai,kyu ke Bhalayi ka Hukm dene aur Burayi se Rokne Me Mard aur Aurat dono zimmahdar hain,aur ye Khaas Sifat ummate mohammadiyyah ki hai,aur isme mard wa aurat dono shamil hai, (Surah Aale Imran,Ayat :110)

To khawateen un se jo hosakta hai,Social Media per Deen ki khidmat karsakti hai,jaisake Sahabiyat Jang me mishkeezeh lekar Muslim lashkar ko paani pilane aur zakhmiyo ki marham patti ka kaam bhi kiya karti thi wo ye bhi to deen ki hi khidmat thi,to aaj ki khawateen bhi deen ka kaam social media per karsakti hain,

Note :ab jo Ladkiya Social media per Ghair sharyee Kaam karti hai,to uski ijazat Nahi hai,kal qiyamat me unhe Saza bhi zaroor milegi..insha Allah

You might also like