OIL(Tail) LAGAKE NAMAZ PADHNA ?

Sawal :Assalamualikum,mufti sahab
ek sawal hai apse K agar zaitoon ka oil ya phir Koi dusra oil Jism pe lagake namaz padt skteh kya plzzz iska jawab dijiye Shukriya mufti sahab
(Junaid Ahmed)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..Zaitoon Ka Oil Jism per Laga kar Namaz padh sakte hai,us se Namaz hojati hai,kyu ke Zaitoon Na Paak Nahi hai,Balke wo Paak hai,Jis ka Naam Quran e Kareem bhi aya hai,aur iske Alawah Halal Cheezo se Bane(Made) huve Tail(Oil) laga kar bhi Namaz padh sakte hai,lekin Jis Tail ke lagane ne se jo Boo(smell) aati hai,aur wo Boo doosre logo aur khud ko Na Pasand ho ya jiske Boo se karahat mahsoos hoti ho to aysa Tail Lagar Kar Namaz padhna Makrooh hai,
(Sharh uk Wiqayah,Vol/1,Pg/50..60)
isliye Namaz ke Baad lagaye to sab keliye ziyadah behter hai

You might also like