BAKHSHISH KELIYE AMAL ?

Sawal : Asslamu Alekum mufti Sahab ek sawal hai,

mera dusra sawal yeh hai ke kisi ne kaha ke hame naik amal karne ki kya jaroorat hai Kal Qayamat ke din Huzoor bakhswayenge Toh naik amal kyu karna ?

(Ek islamic Bahan),

Jawab :Bakhshish keliye Nek Amal karna bhi zaroori hai,kyu ke Jab

Nabi e Akram(sallallahuakihiwasallam) ne Hazrat Rabeeah (raziyallahuanhu) se kaha ke Rabeeah jo Maangna hai,Maanglo tumhe milega to aap ne kaha ya Rasoolallah ..Jannat me aapki Rifaqat(saath) chahta hoon ! To aapne farmaya :to phir Tum Apne Sajdo me Meri madad karo.. (Kanzul Ummal), Is hadees me Sajdo se murad Allah ki ibadat ki taraf Targheeb di gayi hai,kyu ke Aqeedat ke saath ibadat bhi zaroori hai,warna Khatimah ke bare me to koi Nahi janta hai,isliye Aqeedat aur Ibadat dono ko lekar aage badhna hai, Isliye to Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Kaha :Agar Tumko Allah se Mohabbat ho to tuumhe Meri Taleemaat per Amal karna bhi zaroori hai. (Al Quran, :Al Imran: 31) To isme Mohabbat ki Bunyad ko Itteba banayi gayai to hama Itteba yani Ibadat bhi zaroori hai,aur Mohabbat bhi…ye 2 Cheezo ho to Phir insha Allah Maghfirat bhi milegi.

You might also like