DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY : 193,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ek Umrah Doosre Umrah tak Saare Gunaho ka Kaffarah hota hai,aur Hajj e Maqbool Ki Jaza(Badlah) “JANNAT” hai.
(Vol/1,H,No :945),
Dars : Yani Jab Bandah umrah karta hai,to wo Saare Gunaho se paak hota hai,to Baaz Ulama Gunaho se Murad Sagheeerah Gunah kahe hai,aur Baaz ulama Kabeerah bhi kahe hai,behter ye Hai,ke Umrah me Qadam ba Qadam Sacchi Taubah bhi kare to ye 2 Qisam ke Gunho ka Kaffarah hojayega,
●● Hajj e Maqbool ki Jaza : Aakhirat me Jannat hai,
♧♧ Hajj se Saare Gunaho Maaf hojate hai,
■■ aur Dunya me Hajj karne wale ki zindagi me Tabdeeli ,Dunya me Dilchaspi ka Na hona,bhi hajje Maqbool ki Alamat kahi gayi hai,
☆☆ Lehaza Her Lamha Hajj e Maqbool ki dua karni chahiye..
Allah hum sabko Hajje Maqbool Naseeb farmaye..Ameen

You might also like