HAJJ,UMRAH AUR HAMARI ZIMMAHDARI

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Hajj awr Umrah Paidar pe karo,kyu ke ye dono Gunah awr Tangdasti dono ko is tarah door kardete hai,jaisake Bhatti loha,sona awr chandi se mail ko door kardeti hai,

Dosto : Be shak is hadees e paak me hajj wa umrah ke fazaayil bayan kiye gaye hai,wazeh rahe ke ye hukm us bandeh keliye hai,jo apne zarooriyate zindagi,awr apno ke saare zimmahdari ko nibhale to usko paidar pe hajj wa umrah karne ka hukm hai,warna jab wo apna farz hajj karle to ab us per phir se hajj karna farz nahi hai,ab wo kare to uske haqq me wo hajj Nafil hi kalayega,,
lehaz usko chahiye ke ek ghareeb ke bacho ke taleem keliye paiso ki zaroorat ho,
ya bewa khatoon ki ladkiyo ki shadi keliye raqam ki zaroot ho,
yateem baccho ki parwarish ki baat hoto aysi soorat me jab ye cheeze uske saamne hoto ab uskeliye nafli hajj ke bajaye in be sahara logo ka sahara banna hi ziyadah zaroori hai,
haan,jab wo bandah in kaamo me apni zimmahdari nibhaleta hai,to ab use jitne hajj wa umrah karna chahie karle sakta hai,

Yaad ,,Rahe ke Yateem Bacche aur Bewa Khawateem Hamdard Dawlat mando ki Madad ke Muntazir hai,aur ye bhi yaad rahe ke Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jannat me Mai aur Yateem ki Parwarish karne wala 2 Ungliya(fingers) jis tarah qareeb hote hai,usi tarah wo aur mai Jannat me qareeb honge.

(Jamiut Tirmizi,vol/2)

You might also like