NAMAZ ME BISMILLAH PADHNA..

Sawal: Assalamualikum,Maulana,

Ek hi rakat mein new surat bismillah sey aghaaz karenga ya ya beghair tasmiya? Fuqaha kay aqwaal mera pesh nazar hai mgr mufta bihi qaul darkaar hai. ?

(Mohammed Subhan Shareef chishti),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Surah Fateha ke Baad zammah surah se pahle Tasmiyah padhna Mustahab hai,aur agar zammah surah ke baad phir ek sura mazeed milaye to ab Tasmiyah padhne ki zaroorat Nahi hai.
(Nasbur Rayah,Vol/1,Pg/396)
Note :Muqtadi bismillah padhna hai,ya nahi iska hukm alag hai….
You might also like