DUNYA KI TALEEM AUR ZAKAT ?

Sawal :السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
Zakat ka paisa deen ki taleem ke log ko desakte vasehi duniya ki taleem haseel karne waloko desakte
(Mohammed Siraj),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah wa barakatuhu
Zakat ghareebo ko dena hai,agar wahi ghareeb deen ki taleem hasil kar raha ho aur Ek ghareeb dunya ki taleem, to dekhenge ke asbab kis ke paas hai,to malum hota hai,ke Deen ki taleem hasil karne wale ke paas koi asbaab Nahi rahte hai,jab ke Dunya ki taleem hasil karne wale ko Hukoomat aur Banks se Education Loan bhi Aasani se mil jata hai,
jab ke deeni taleem hasil karne wale ko Na Hukoomat ki taraf se aur Na hi Banks ki taraf se koi bhi madadd Nahi milti hai,
jab ke Madarso me Ghareeb ladko ki taleem wa tarbiyat “FREE”hoti hai,aur Aakhirat me Kamiyabi ki Niyyat se Ye Kaam Zimmahdaran Ada karte hai,madarso me koi Ziyadah Raqam bhi Nahi hoti hai,aur wazeh rahe ke Zakat sirf Maal taqseem karne ka Naam Nahi hai,balke Zakat Dena “IBADAT” hai,to Deen ki Taleem Hasil karna bhi Ibadat hai,aur Ulama wa Huffaze kiram to Ambiya e Kiram ke waris hote hai,aur wo jab ek ek Lafz bhi Quran ya Hadees ka Yaad karte hain,to Allah Deen ki taleem me Madad karne walo ko bhi uska Barabar Sawab ata karta hai,kyu ke Deeni kaam me Madad karna Bhi Neki hai,
(Mishkat ul Masabeeh,Vol/1,Pg/20)
Lehaza Deeni Taleem Hasil karne walo me zakat de to ziyadah behter hai,is se Deeni Taleem ki Nashr wo isha’at me madad milegi,aur wo madad Dunya wa Akhirat dono me Kaam aane wali hai,
Haan,agar Tohfe ke taur per Dunya ki takeem hasil karne walo ko Raqam dena chahte ho to desakte hai,usme koi Haraj Nahi hai.

You might also like