DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 236,

Hazrat Abu Barzah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya :
Jo Kisi Museebat Zadah Ki T’aziyat karta hai,to Allah usko Jannat me “JANNATI LIBAS ” pahnata hai.
(Jamiu Tirmizi,Vol/1,H,No :1097),
Dars : Taziyat ke Meaning : Kisi Gham wa Museebat me rahne wale ko Sabr Dilana,aur jis ghar me kisi ka inteqal hojaye to unke ghar walo ke gham me shareek rahna,unko Himmat wa dilasa dilana,etc..T’aziyat kahlata hai,
Dosto,Taziyat Agarche ek Zubani Madad wa Himmat hai,magar Allah ke paas uska aysa buland darjah hai,ke sirf us zubani madad ke badleh Allah Jannat ke Saath Jannati Libas bhi ata kar raha hai,to hame chahiye ke is Nek Amal ko jane aur Marne wale
(Marhoom) ke bare me Bekari ke Bura kahenge to Marne wale ke Gharwalo ko takleef bhi hogi aur Hamara Akhirat ka Noqsan,aur Gheebat bhi,jiski Aakhirat me badi saza hogi,
Jo Jaisa tha,uski Kayi Burayiyo ko Bayan karne ke bajaye sirf ek “NEKI” aur “KHOOBI”hi kaafi Hai,usko Bayan kare ta ke Marhoom ko Rahat aur Uske Gharwalo ko T’aziyat Naseeb jojaye aur Apni Maghfirat……insha Allah

You might also like