SHOHAR KE INTEQAL KE BAAD IDDAT ?

Sawal : Mufti sahab as salamalakum wa rahat allah hi wa barkatahu. Mera walid sahab ka intaqal hogaya hai 3novamber 2016ko (2 safar) walida sahaba ki umar 70 saal hai in ki ayam e iddath katni din ki ho gi jawab marahmath farmaya jazak allah.

(Shakeel Mohammed),

Walikumassalam wa rahmatullah..
Allah aapke Marhoom walid saheb ki Maghfirat farmaye aur Gharwalo ko sabre jameel ata kare,
Aapke walidah ki iddat 4 Maah 10 din hoti hai,kyu ke islam me ye hukm hai,ke Jis Aurat ke Shohar ka Inteqal hojata hai,to us aurat ko 4 Mahineh 10 din Iddat shohar ke ghar me ya jaha mahfooz(safe) ho waha wo iddat guzar sakti hai,

(Al Quran,Vol/2,Surah Baqarah,Ayat No :234)

aur is iddat me apne ghar se baher jane ki ijazat nahi hai,Haan,agar koi Zaroori Kaam hoto phir zaroorat ke lehaz se baher jane ki ijazat hai.

 

You might also like