LAST WEDENESDAY AUR SAR KE SAATH GHUSL KARNE SE..?

Sawal : Assalamualikum imam sahab ,

hamare gahr ke bade log keh rah ke aakhri charaushma (Wednesday) ko sar se nahi nhana chahiye sirf aang dholenq chahiye,warna tamam umar gardan hilti aisa bolre ye baat sach hai
(Mohammed Imtiyaz),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Safar ke Mahineh(Month) me Akhir Chaharshambah(Last wednesday) ko Sar se Ghul karne ko Mana karna aur Uski wajah se Zindagi bhar Gardan(Neck) ka Harkat karna kahna Kahi se Sabit Nahi hai,aur ye Aqeedah Islami Taleemaat ke Bilkul Khilaf hai,aur aysa Sonchne se Eiman kamzor hojata hai,Kyu ke Har Cheez me Asar dalne wala Allah hi hai,uske alawah koi Nahi hai,
Aur ye Baat Naqal(Quran wo hadees…etc) aur Aqal kisi se bhi Sabit Nahi hai,jab ye Sabit hi Nahi hai,to phir Maan na bhi Nahi hai..

Plz…Share it to All,For more visit our islamic web site..: anwaarulislam,com.

You might also like