DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 265,

 

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Allah Us Bandeh ki taraf apni Rahmat ki Nazar Nahi dalta hai,jo Apni Bivi se Peeche ke Raasteh se Qurbat hasil karta hai.
(Vol/1,H,No : 1198),
Dars : Ek doosri Hadees me Yahi alfaz ke Baad ye bhi aya hai,ke “ALLAH HAQ BAAT KAHNE SE HAYA NAHI KARTA HAI”
Jab Nikah karna Sunnat hai,to Sunnat se Wabastah tamam cheezo ko Hamare Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne Wazeh farmadiya,Aur Qurban jaye aap per ke Apni ummat ko har badi wa choti choti cheezo ki Rahnumayi farmayi,
●● Is masleh ke Muta’allaq hame kayi sawalaat bhi aye hai,lehazah Jawab yahi hadees e paak ki roushni me hai,ke : Shohar ko Apni Bivi se Peeche ke Maqam se Sohbat karne ki ijazat Nahi hai,kyu ke Us se Khud insaan kayi Beemariyo me mubtala hojata hai,aur Uska Maaddah Mani bhi Na kaarah(waste) hojata hai,
Isiliye ek doosri Hadees me aya hai,ke :Jo apni Bivi se Peeche ke maqam se qurbat hasil karta hai,to Us per Lanat barasti rahti hai,
■■ Is Bare me Agar Shohar Bure Dosto ya Buri Cheezo ko dekh kar Na mane to Bivi ko Is Baat se Shohar ko hadees ki bunyad per Rokne ka Poora Haq hasil hai,kyu ke isme Dono Lanat ke mustahaq hote hain.
Jo kiye hai,ab wo Taubah kare..
Allah hame Sahi muasharati zindagi guzarne ki taufeeq ata kare…Ameen

Plz..Share it to All,For more Visit islamic web site :anwaarulislam,com.

You might also like