QABAR KI TAKHTI PER BISMILLAH… ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Hamare Walid e Mohtaram ki Qabar Banayi jarahi hai,Jo Seedhi saadhi hi hai,Kiya qabar ki Takhti per Bismillah…Likh sakte hai ? Ya Nahi ?
(Mohammed Nawaz Ali),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Allah aapke Walide mohtaram ki maghfirat farmaye,Ameen.
Qabar ki Takhti(Plate) per
“Bismillahir Rahmanir Raheem”
Aur koi doosri Qurani ayat bhi likhe to Uski ijazat Hai,kyu ke Bismillah ki Barkat se Us qabar per Allah ki Rahmat Nazil hoti hai,kyu jab Ek Tar Tahni se Azab me kami ho sakti hai,jaisake Bukhari Shareef ki Hadees me aya hai,
(Sahi Bukhari,Vol/1,Pg/35)
Isme to Allah ka Naam hai,phir Allah ke Naam se to zaroor ba zaroor Azab me kami aur Rahmat ka Nuzool hota hai,isko Islam me “NEK FAAL” kahte hai,aur Nek Faal ki islam me ijazat hai,
Haan,Agar Na likhaye to bhi koi Haraj Nahi hai,magar likhana to Ziyadah Behter hai,

Plz..Share it to All,For more islamic services visit our web site.. :anwaarulislam,com.

You might also like