CHOTE BACHO KI NAMAZ E JANAZAH KA HUKM

Image of newborn baby hand over female palm

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Koi Chota Bacha(Bacha/Bachi) paida hote hi inteqal kar jaye to unki Namaz e janazah ka kiya Hukm hai ?
(Md Shafi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Jab koi Chota Bacha(He/her) Paida hone ke Baad ya Wiladat ke waqt Yani paida hote waqt agar Roye(tearing) phir unka inteqal hojaye to ayse chote Bacho ko Ghusl bhi diya jayega awr unki Namaz e janazah bhi padhi jayegi,
Kyu ke jab ye Roye hai,to inper Zindah insaan ka Hukm lagaya jayega,jaise koi zindagi pakar mar jaye to uski janazah padhi jati hai..is tarah inki bhi Namaz e Janazah padhi jayegi..
Haan..
Jo Bache Maa ke pet(stumoch) me hi mar jaye to inki Namaz e Janazah Nahi padhi jayegi ,sirf ek kapde me rakh kar unko Dafan kiya Jayega.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/422).

You might also like