MASJID KA WATER USE KARNA

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Masjid ki koi Cheez Istemal karaakte hai ?
Yaha masjid me Water waste jata hai,to log waha se water lejate hai ? To iska kiya hukm hai ?
(Mohammed Jafer ),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Masjid me ki cheeze jaise JaiNamaz(musalla),Fan,etc jo masjid me musalliyo keliye awr ibdat me istemal hoti hai,jisko koi shaks Waqf kiya hoto usko Koi Doosra Istemal karna Jayiz Nahi Hai,
Haa,is masjid me agar wahi cheze Dastiyab(available) hojaye to in cheezo ko koi doosri Masjid me istemal karne ki Ijazat hai,
Jaha tak Masjid ka paani (Water) ki baat hai,isme is baat ki gunjayish batayi gayi hai,ke
Jab masjid ki zarooriyat ke alawah bhi paani bach jaye jaisa ke aapne kaha Water Waste jata hai,to koi Zaroorat mand Masjid ke paani ko istemal karsakta hai,
Awr Koi Borewell dalne wala is paani ko Masjid awr Zaroorat mand ke istemal keliye bhi waqf kare to us paani bhi istemal karsakte hai,
Aysi hi Niyyat kare to ziyadah behter hai.
(Al Hidayah,Vol/4,Kitab ul Waqf,Pg/412),

You might also like