SADQEH KI QISME AUR FAZILAT ?
Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Islam me sadqeh ki kitni qisme hai,?
bataye to maherbani hogi ?
(Abdul Razzaq),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Islam me Sadqeh ki 3 qisme hai,
1) Zakat hai,jo saal me sahib e nisab ko 100- 2.5% dena hai,
2) Jab koi Mannat Allah keliye maangle jaisa ke koi kaam banjaye to 1000 Rs sadqah karunga to ye Sadqah Wajib hai.
3)Sadqa e Nafilah,
Kabhi bhi kisi ko kitna bhi de ye Nafil me shumar hoga.
(Tafseer e Jalalain,Vol/1,Surah ;Taubah).
Note : Sadqah dene se Maal me Izafar aur Barkat hoti hai,Sadqeh se Maal me kami kabhi Nahi hoti hai,aur wahi sadqah kal qiyamat me SHAFA’AT ka zariyah banta hai.