NALAIN PAAK KE NAQSH KI TOPI ?

Sawal :Assalaamualikum,Hazat ek sawaal…
Ab jo topi par nalain pak ka naqsh utra hua aaraha hai hum use pahen sakte hai ya nahi,
Aur agar pehne to namaz kis saf par ada kare … Kyunki kaye hazraat se mlm hua hai ki pehle saf ki alawa koi aur saf par namaz ada karna sahi nahi hai isse nalain pak ki behurmati hote hai…
Ye baat kis had tak durust hai batayeye …
Aapka islami bhai…?
(Mohammed Rafeeq),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Nalain Paak ke Naqsh ki huvi Topi(cap) Lagane ki to ijazat hai,isme koi MANA Nahi hai,Magar Ye Baat bhi Zahen Nasheen karleni chahiye ke Aqeedat me Kamal usi waqt hasil hota jab usme Kamil ADAB bhi shamil ho warna Wo Aqeedat Nahi dikhava kahlata hai,(Maafi ke saath)
Agar Koi Shaks Nalain paak ke Naqsh ki Topi Laga le to ab wo kayi Maqam se guzarta hai,ab wo Maqamaat Paak bhi hosakte hain,aur Na Paak ,aur use Bait ul Khala bhi to jana hota hai,ab wahi topi pe jaye to Be Hurmati lazim aati hai,agarche ke uski Niyyat Be hurmati karna Nahi hoti hai,lèkin Na Chahte huve bhi Hojati hai,
Lehaza Deen e islam Haqeeqi Aqeeadato wa Mohabbato ko tarjeeh dene wala Mazhab hai,Yaad rahe ke Nabi e Paak sallallahualihiwasallam se kamal e Mohabbat ki Ahem Alamat Aapki “SUNNATO AUR AAPKE AHKAMAAT PER AMAL KARNA HAI”
aur Jitni Saadhi Topi lagaye to wahi Behter hai,aur Yahi Sadha Islami mizaj bhi hai,
2) Nalain Paak ki Naqsh ki huvi pahne kar Pahli saff ho ya doosri saff kisi bhi saff me Namaz padh sakte hain,Pahli hi saff me Namaz padhna Zaroori Nahi hai,kyu ke agar ye dooari saff me ho to Pahli saff wala shaks Namaz me hi to hota hai,aur Namaz ka har Rukn Aala wa Umdah hota hai,us se Be Hurmati ka koi shaibah bhi Nahi hota hai,warna to Har Hafiz wa Aalim saheb ko Pahli hi saff me namaz padhna zaroori hojayega kyu ke unke Dil me bhi to Quran aur Ilm e Deen hota hai,Lekin unko ye hukm Nahi diya jata hai,balke wo kounsi bhi saff me Namaz padh sakte hain,
Khulasah ye Ke Nalain paak ki Topi ke Alawah koi Saadha Topi lagaye to Ziyadah behter hoga,jabke Nalain paak ke Naqsh ki huvi topi lagane ki ijazat bhi hai.
والله اعلم بالصواب
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like