DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 376,

Hazrat Abud Darda(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :

Baap Jannat ke Darwazo me se Beech ka Darwazah hai,agar Tum Chaho to Tum usko Tod do,aur Agar chaho to us Darwazeh ki Hifazat karlo.
(Vol/2,Hadees No :2022),
Dars : Jahan Deen e islam ne Maa ko ek khaas Maqam diya hai,wahi Usne Baap ko bhi ek Khaas maqam wa Rutbah diya hai,
●● Baap Jannat ka Darwazah : Jo Bandah Dunya me Apne Deeni wa Dunya kaam poore karle aur Sirf walid ke Haq aur Adab,Ehteram,wa farmabardari ko kamil taur per Anjaam na de to Kal Jannat me usko dakhil hone se pahle Jannat ka darmiyani darwazah Nahi khulega(open) kyu ke usne sab kaam to karliyw the lekin Baap ka Haq ada nahi kiya hai….!!!
To Ab jinke Walidain me se jo bhi ho,unko chahiye ke unki Khidmat,Adabwa ehteram kare,aur apni Dunya wa Aakhirat ko sawarle,
Aur jinke Walidain ka intqel hochuka ho to wo unki Maghfirat keliye dua kare aur Apni Khidmat ki kami per Taubah kare insha Allah Allah (azza wa jallah) zaroor Maaf farma denge..
Allah hame Maaf kare aur hamari khamiyo ko dar guzar farma de…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like