SAHRI KA WAQT AUR FAJAR KI AZAAN ?

Sawal : Assalamualikum. Jo sahri k liye card chapate hi us card k time se aur kitne time tak sahri kha sakte hi ?
(Ek islami bhai)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Ramazan Timing Card ke lehaz se 5 min takheer bhi kare to koi Haraj Nahi hai,
Magar Fajar ki Azaan tak ka intezar sahi Nahi hai,khaas kar india,etc.. (Asia Countries) me kyu ke waha Aksar Maslak e Hanafi wale hote hai,waha fajar ki Azaan waqt ke kuch takheer hoti hai,
Lekin Gulf me fajar ka waqt shuru hote hi Azaan di jati hai,lehaza Gulf countries me Fajar ki Azaan ke Hisab se sehri kare to ziyadah behter hai.
Baaz Log Azaan khatam hone tak Sehri me khana etc..khate rahte hai,aysa karne se unka Rozah hi Nahi hota hai,kyu ke Aysa khane se Sehri ke waqt ke Alawah me khana Lazim ata hai,is se Rozah Nahi hota hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1)
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like