TARAVEEH KE WAQFEH ME ENERGY DRINKS..?

Sawal :Assalamulikum,Mufti saheb,
Taraveeh ke waqt hame jo 2 mint ka Rest milta hai,to kiya us time me hum Energy Drinks pisakte hai ? Ya Nahi ?
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa Rahmatullah..
Taraveeh ke 4 Rakaat ke baad waqfeh me Dili Rahat wa Badani Nashat(Refresh) keliye ALLAH KA ZIKR karne ki Taleem di gayi hai,is se energy aur Taqat bhi aajati hai,
Ab kisi ko Energy Drinks(Taqat bakhsh Mashroobat) se hi energy milne ki Adat ho to ab wo Taraveeh ke 4 Rakaat wale waqfeh me energy Drinks pee sakte hai,unke peene ki ijazat hai,kyu ke usme bhi Allah ki ibadat karne me susuti se Bachne ki hi Niyyat hoti hai.
(Tirmizi,Vol/1,Kitabus salah)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like