NAMAZE JANAZAH,TARAVEEH AUR WITR…?

sawaal:- kya namaz e janaza baghair wazu k ada kar sakte hai ??
aur janaze ki namaz me ek ya do takbeer chut jaye to namaz kaise mukammil karne chaheye..
aur taraweeh ki jis rakt me sajda aaye aur us rakt me hum shamil na hosake to sajda ko kaise ada karna hoga??
ramzan me witr ki namaz jamat k saath hote hai aur AGR hamare teesre rakt ki takbeer chut jaye to WO takbeer ko kaise ada kare….
baraye maherbani rehnumaye farmayeye….
Aapka Shakird….
(Mohd Rafeeq),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
1) Namaze Janazah Baghair Wazu ke Ada Nahi karsakte hai,kyu ke wo Zaihran Namaz ki tarah hai.
(Al Ashbah,Vol/1)
2) Namaz e Janazah me Agar ek Takbeer Choot jaye to Imam Salam pherne ke baad apni chooti huvi Takbeer dua e janazah padh kar poori karle.
3) Agar Namaz e Taraveeh me Sajdah e tilawat ki Rakaat me Shamil Na hosake aur Wo sajdah wali ayat sunle to ab Sajdah e tilawat Namaz me Nahi balke Namaz ke Baad ada karna Wajib hoga.
(Al Hidayah,Vol/1),
4) Namaz e Witar ki Teesri Rakaat choot jaye to Baad me Imam salam pherne ke Baad Khade hokar sureh fateha,zammah surah,phir takbeer kahe aur Dua e Qunoot padhe aur ruku ,sajdah,qadah se apni Namaz mukammal kare.
(Fatawa An Nawazil,Vol/1),
Plz..share it to All,for more visit our islaamc web site..anwaarulislam,com.

You might also like