KIYA BAQAR EID KAHNA JAYIZ NAHI…?!

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Kiya Baqar eid ko Baqar eid kahna Sahi Nahi hai ? ! Kyu ke maine ek Video Clip me aysa Suna hai…?
(Muneeruddin)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Har zuban ki ek pahchan wa Rivaj hota hai,to us Zuban ke istemal aur Matlab ke etebaar se Baaz Alfaaz istemal kiye jate hain,jis ke meaning Arabi zuban ke meaning aur Mafhoom ke Qareeb hote hain,lehaza usko us zuban ke Lafz me istemal karna Ghalat Nahi hai,balke uski ijazat hai,lehaza “BAQAR EID” kahe Ya “BAKR EID” kahe koi Haraj Nahi,kyu ke uska Matlab hi ye hota hai,ke us Eid me Bandah Halal Janwar Allah ke Hukm per Zubah karta hai taa ke Allah ka Qurb hasil kare,aur Azha ke Meaning bhi Yahi hai,kuch aur Nahi hai,jabke Baaz Mulki me Eid ul Fitr aur Eid ul Azha ko Choti Eid aur Badi Eid kahte hai,aur Baaz Jagah Badi eid aur Choti is se koi Kharabi Lazim Nahi aati hai,Alfaaz Alag hote hain,lekin Ibadat bhi Allah ki karte hai,aur Tareeqah bhi Ek hi hota hai,koi ziyada farq Nahi,
Jaise Salam Quran aur Hadees me
السلام عليكم و رحمة الله وبركاته
(ASSALAMUALIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUH)” ke Alfaaz aye hai,to Aur Baaz Maqamaat pe Subah me
صباح الخير
(Sabahal Khair)

،aur Sham me
مساء الخير (Masa Al Khair)
Bhi aya hai,aur Urdu Zuban me Salam keliye AADAB aur Shabba Khair etc…bhi istemal karte hai,to itni Baat per Usko Na jayiz ya Bid’at kahna Sahi Nahi hai,Balke is se Aam Public ko Pareshan karna Lazim ayega,Jabke Zubano aur unka Istemal(uses) Mukhtalif hona bhi Qudrat ki Nashaniyo me se hai,jaisa ke Quran me aya hai :
وَمِنْ ءَايَٰتِهِۦ خَلْقُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ وَٱخْتِلَٰفُ أَلْسِنَتِكُمْ وَأَلْوَٰنِكُمْ ۚ إِنَّ فِى ذَٰلِكَ لَءَايَٰتٍ لِّلْعَٰلِمِينَ

(30-Ar-Rum : 22)
Note : Deen e Islam ek Fitri Wa Aasan Deen hai,isko Apni Fikar se Mushkil Na kare warna Qiyanat me Hisab dena hoga…
Plz.. Share it to All,for more visit our islamjc web site…anwaarulislam,com.

You might also like