DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 472,Hadees No :2156,

 

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Kuch Ansari Sahaba(raziyallahuanhumajmayeen) Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) se kuch Maange to aapne unko Ata kardiya,phir Maange to Aapne Ata kardiye teesri baar bhi Maange to ata kardiye,phir
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)
ne farmaya : Jo bhi mere Paas hoga wo mai tumhe ata kardunga,Yaqeenan Jo Bandah Allah se Ghurbat se be niyazi maangega to Allah usko ata kardega,Paakdamani aur Sabr Maangega to Allah usko wo bhi ata kardega,phir farmaya :Allah ne Jisko Sabr ata kardiya to samjho usko Saari Bhalayi ata kardiya.
(Vol/2,Hadees No :2156),
Dars : Insaan ki Aala Sifaat me ek Ahem wa Aala Sifat Be Niyazi yani Makhlooq se Tawaqqu wa Aarzu Na rakh kar Khaliq Allah per Tawakkul rakhne ka Naam Be Niyazi hai,
Dil aur Banadan ke Buri Baato wa Gandi Sonch se Mahfooz rakhne ka Naam Paakdamani hai,
Apne Muwafaq ke Baghair Aane wale Halaat per Khamooshi ikhtiyar kare to wo Sabr hai,phir unhi Na muwafaq Halat me Allah ka Shukr Baja lana Behtreen Sabr kahlata hai,
Ye 3 Sifat Bandeh ko ibadaat,Zikr wo Azkaar aur muraqabah phir kisi Kamil Murshid ki Sohbat se bhi naseeb hoti hain,
Allah hame in sifaat se Malamaal farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like