80 YEARS WALI LADY KA UMRAH ?

Sawal : Assalamu Alaikum wa rahmathullahi wa barakatuhu…
Abdul AZeem Macca masjid, mbnr se hun…
Hamare Dadima Jo 80 saal ke ooper unki Umr hochuki hai.. Woh chahte hai ke Khana e kaaba & Nabi e pak Alaihissalaam ki Ziyarath kare.. Lekin woh chal nahi sakte, Urine bhi kabhi kabhi nikalbhi jaata hai toh iss soorath me jaana umrah ke liye jaapayenge, inke liye kaisa rahega???
Jawab inayat farmaye,, Maherbani.!! Shukriya.
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
80 saal ki umer wali khatoon apne mahram ke saath ja sakti hai,aur peshab ke khatre wo mazoori me shumar honge us se koi farq nahi padta hai,ek baar wazu bana lena kaafi hai,Wheel Chair per tawaf karwa sakte hai.
(Al Hidayah,Vol/2).
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like