*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter : AZAAN , Day : 61 ,

 

Hazrat Abu Shasa(rahmatullahialih) se rivayat hai, kaha,
Ek Shaks Ne Masjid me Asar ki Azaan hone baad Bahar chala gaya,to wahi per Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) tashreef farma the,jab aapne usko dekha to kaha,isne Nabi e Akram (sallallahualihwasallam) ki Na Farmani ki hai !!!.
(Vol/1,H,No :204),

Dars : yani usne Nabi e Kareem(sallallahualihiwasallam) ki taleemat ko chod diya jis se aapki Na farmani karna lazim aata hai,aapki taleemaat me se ye bhi hai ke jab Koi masjid me rahe,aur waha azaan di jaye to usko chahiye ke Namaz padh kar jaye,
Haa,agar koi aysa kaam ho jis ki wajah se usko us masjid se nikalna zaroori hai,jaise use Koi Doosri Masjid me Namaz padhana hai,aur log intezaar me ho to wo Us masjid se baher nikal sakta hai.
Allah ham sabko Namazi Banade.Ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like