DARSE JAMIUT TIRMIZI
Hazrat Sayyiduna Abu Saeed Khudri (raziallahu) se rivayat hai,kaha : NABI E AKRAM ﷺ NE FARMAYA : JAHANNAM SE HAR US SHAKS KO NIKALA JAYEGA JINKE DIL ME RAAYI KE DAANE KE BARABAR BHI EIMAN HOGA.
(JAMIUT TIRMIZI, VOL/2,H,NO :2802),
DARS : Dunya me jis kisi ko Allah ne Eiman ki Dawlat se Nawaza ho to wo Sab se ziyadah khush Qismat hai,kyu ke ye Eiman Bandeh ko Zindagi aur Maut ke Baad Akhirat me bhi madadgaar hota hai,lehaza Eiman ki Hifazat Dil ki Paaki Aur Aamal e saleha ke zariye hoti hai,
● Dil ki Paaki ke Asbaab: Bandeh ka Dil Paak hona ho to usko Chahiye ke Ba Amal Ulama e kiram aur Buzrugo ki Sohbat ikhtiyaar karne chahiye aur kisi Nek Murshido ki iradatmandi me shamil hona Behter hai,lekin Yaad rahe ke Murshid Aalim aur Padha likha shak aur Shareeat ka Pa Band hona zaroori hai,warna Doosro ko fadah dena to door ki Baat hai,wo khud Apni Zaat ko bhi faidah Nahi pahoncha sakta hai,
● Bandeh ko Chahiye ke Doosro Ke Baaz Bure Aamal ki wajah se uske Eiman per ungli Nahi uthani Chahiye kyu ke usko Nek Aamal ki taufeeq Allah kabhi bhi dr sakta hai.
Allah se dua hai,ke Allah hame Hamesha Eiman per Qayim wa Dayim rahne ki taufeeq Ata kare..Ameen.
For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.
●○WRITTEN BY:-
MUFTI RAHMATULLAH QADRI