DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 424,Hadees No :2083,

Hazrat Abu Zarr Ghifari
(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Raastah Bhoole ya Bhatke huve Shaks ko Sahi Raastah Batlana bhi Sadqah hai.
(Vol/2,Hadees No :2083),
Dars : Insaan ko Raastah 2 Tareeqo se Batlana hota hai
1) Jab Wo Badani Taur per Raastah Bhatak jaye(Kisi Mohalle ya Shaher ke Raastah Bhool jana etc.. ) to usko Sahi Raasteh ki Rahnumayi karna bhi sadqah ke sawab ka sabab banta hai,
2 ) Jab Insaan apne Dil wa Zahen ka Raastah Bhatak jaye yani wo Achayi ya Burayi me Farq Na kar pa raha ho,ya Achi Taleem(Subjects) ki intekhab(choosing) me disturb hora ha ho, Ya kisi kaam ke Aaghaz karne me Ziyadah sonch raha ho ya usko kuch Samajh me Na araha ho to etc.. ayse logo ki apni Achi Ray aur Fikr se Sahi Mashorah dena bhi Sadqah hota hai.
Allah hame Sahi Raah dikhane walo me se banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like