** TOTA(PARROT) AUR TAQDEER? **

Sawal :Assalamualikum,moulsab
wo tota(parrot) ke pass kisi insan ke baare me information nikalna halal hai ya haram hai mujhe itna malum hai ki wo haram hai
(Ateeq Ahmed),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Tota(Parrot) se taqdeer ke bare me information Nikalna Jayiz Nahi hai,aur aysa karne se Eeman me kamzori aati hai,aur Eeman ke Chale jane ka bhi andesha hota hai,to Bandah e Momin apne kalimah aur Eeman ki haqeeqat ko samjhe ke wo yahi kahta hai..ke..mai eeman laya Taqeer ki her baat per chahe Khair ho ya Shar….lehaza Tota Makhlooq me se hai,aur wo Insaan ka taabe hai,insaan uska taabe Nahi hai.
●● Be Charah Tota usko khud Uski Khabar Nahi rahti ab Insaan ki wo kiya Khabar de sakega..Soncho bhai..
(Aqeedatu Tahavi,Vol/1)
Note :Dosto,Kamse kam weekly to apne eeman ke bare me sonchna chahiye..ke hamare aamal kiya hai…etc..rozanah kare to bohat acha hai….But in this Days everyone telling i have’nt time ¿¿¿?!!

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like