TARAVEEH KELIYE ROZAH ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz hanare saathi jo kisi majboori ki wajah se rozah nahi rakh sakte ya jinko Taufeeq hi rozah ki Na mile to jab unhe taraveeh ki dawat dete hai,to wo kahte hai,ke Aaj hum rozah hi nahi the,to phir Taraveeh kise padhenge ?
To kiya Taraveeh keliye Rizah Shart hai ?
(Mohd Shakir),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Ye Jo Aapke Saathi Jawab de rahe hai,ye unki Nafsaani Khahishat ka Nateejah aur Islami Taleemat se waqif Na hone ka Anjam hai,ke apne se Sharee Masaayil me Dakhal andazi kar rahe hai,jiska ke Bohat hi Bura aur DardNaak anjaam hoga,(Allah sab ko in Baato se mahfooz kare)
Lehaza wazeh rahe ke Taraveeh ki Namaz ada karne keliye Rozah Shart Nahi hai,jo kisi majboori ya aur wajah se Rozah Na Rakhe to Uski Qaza Baad me Karna hai,lekin ab to Namaze Taraveeh padhna hai,Taher ke Nahi padh sakte hai,to Baith kar padhe aur Sawab hasil kare.
(Al Hidayah,Vol/2),

You might also like