ALLAH KELIYE MIYA KA LAFZ ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
mera ek sawal hai k Allah Miya kahena jayez hai.?
(Mohammed Khaja),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Har Qaum aur Ilaqeh wa Riyasat ke Rahen sahen aur Bol chal wa Guftugu me farq hota hai,lehaza ki Maqam pe koi Lafz Ehteram keliye bola jata hai,to wahi Lafz kisi doosre Maqam pe Aalm Lafz ke taur per istemal kiya jata hai,isi tara lafze “MIYA” Mauqah wa Mahel ke lehaz se pane Meaning Badal badal kar bola jata hai,kabhi Badeh Bacho ko bole to Shafaqqat keliye hota hai,aur koi Rishtehdar Shadi Shudah Aurat se uske ghar walo ke bare me poochte huve MIYA ka lafz istemal kare to us se SHOHAR(HUSBAND) murad hota hai,
Yahi Lafz Agar BANDAH dua me Allah keliye istemal kare to us se Murad Tazeem,Ehteram aur Khushu me Izafah keliye hota hai,
To khualsah yahi hai,ke agar koi ALLAH MIYA kahe to koi Haraj Nahi hai,
Aur jin Maqamaat me is lafz ko Munasib maqam pe istemal nahi kiya jata hai,to waha ye Lafz Allah keliye istemal Nahi karna hai,
Ye Baat zahen me rakhe ke Allah ke liye Har wo Alfaz sifat me istemal karsakte hai jis se Tazeem,Adab wa Ehteram zahir hota ho,
(Aqeedatut tahavy,Vol/1)
Haan,Behter Wa Afzal ye hai,ke Tazeem keliye Allah keliye Mubham alfaz ke alawah khusoosi Alfaz jaise “AZZA WA JALLAH”,SUBHANAHU WA TA’ALA etc…Alfaz Istemal kare to Ibham bhi Nahi hoga aur Na hi kisi ko Eteraz ka mauqah milega..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like