AMAMAH ME MAYYIT KI TADFEEN KA HUKM ?

SAWAL : Assalamualikum,Mufti saheb,

Maine ek Janazah me shareek huva to waha Mayyit ke sar(head) per amamah bandha gaya tha,aur mayyit ko Amamah me hi dafan kiya gaya hai ? to iska shareeat me kiya hukm hai ?

(Mohammed Ilyas),

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,

Mayyit Ke Sar per Amamah bandh kar Dafan karna ye Hadees se Sabit Nahi hai,kyu ke Hazrat Ayisha siddiqua(raziyallahunaha) farmati hai,ke jab Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ki tadfeen huvi to teen (3) kapdo me huvi un me Qamees aur Amamah Nahi tha.

( Sahi Bukhari,VOl/1,H,No:1194),

to behter ye hai,ke Mayyit agarche ke kitna hi nek insaan kyu na ho sunnat ke tareeqeh per dafan karne me hi bhalayi hai.

You might also like