SADAAT (SYEDAH) LADKI SE SHAIK LADKE SE NIKAH ?

SAWAL: Asslamualikum,Mufti saheb ,

shaik gharane ka ladka syed gharane ki ladki se nikah karsakta hai ? ya nahi ?

haan,agar Nikah me aane ke baad us ladki se ghar me koi kaam jaise jhadu marna etc..kar sakte hai ya nahi ?jise ghar waghira saaf karna ? shareeat me iska kiya hukm hai ?hame sahi moamleh ki taraf rahnumayi farmaye .

(mohammed fayyaz,Mahbub nagar.t.s),

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,

Saare Aalam me islam hi ek aysa mazhab hai,jo aapas me Barabari aur Masawaat ki taleem deta hai,aur iska har hukm hikmat wa fitrat e insani ke muvafaq hota hai,to jaha tak Nikah ki baat hai,Nikah me Bunyadi umoor me ye hai,ke miya bivi is rishteh ko dayim wa qayim rakhe ,to uske liye Nasab ki bhi badi ahmiyyat hai,to behter ye hai,ke Aala Nasab wale Aala Nasab se nikah kare,haan agar us qabeeleh ke alawah me bhi Aala nasab walo ka rishteh hojaye to bhi Nikah hojayega koi Haraj Nahi hai,

jaise ,,syedah ladki hai,aur shaik ya KHAN Qabeeleh ka ladka ke saath Nikahhota hai, lekin awam me jo

baat pahli huvi ke unka apas me rishtah nahi hota kahna sahi nahi hai,aur ye islami taleemat ke khilaf hai.

(Al Hidayah,Vol?/2,Pg/91..120)

jahan tak Kaam aur Ghar jhadnna ki baat hai,,awam me ye baat aam hai,ke saadaat ladki ka ghar jhadne se ghar me barkat khatam hoti hai !!ye sahi nahi hai,kyu ke wo ladki ab is ghar ki bahu bangayi hai,shohar ke paas kisi jhadne wali ko rakhni ki isteta’at wa taqat na hoto ab wo syedah ladki hi apne ghar ko saaf karegi,kyu ke Paaki Aadha eeman hai.

 

You might also like