ARTIFICIAL TOOTH(MASNOOYI DAANTO) KA GHUSL ME HUKM ?

Sawal:Assalamualikum,Mufti Saheb,
Jo koi Masnooyi Daant laga le phir usko Nikalna bhi Mushkil ho to uska Ghusl me kiya Hukm hai ?
(Zahid,K.S.A),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Jo Masnooyi Daant (ARTIFICIAL TOOTH) laga le aur usko Nikalne se Noqsan ho aur usko Aasani se Nikala bhi Nahi Ja sakta ho to Ab wo Daant Asli Daanto ke Hukm me hi samjhe jayenge to Ghusl me Daanto ki Jado tak Nahi Balke sirf Daanto tak bhi Paani Pahonchaya jaye to Ghusl ka Farz ada hojayega Wo Daante Nikal kar paani Pahonchana Nahi hai,kyu ke Ghusl me Kulli karna farz hai,is se wo ada hojayega.
(Raddul Mohtar,Vol/5,Pg/218),
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like