DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
*DAY : 828,Hadees No :2756,*

Hazrat Abu Saeed(raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Maut ko Ek Seengh wale Mende ki shakal me laya jayega phir usko zubah kiya jayega phir waha Sab Jannati aur Jahannami ye Manzar dekhte rahenge,Ab Jannatiyo keliye Hamesha Khushi aur Jahannamiyo keliye Hamesha Gham hi rah jayega.
(Vol/2,Hadees No:2756),
Dars:To is se Maloom huva ke Neki ki khushi wa Sawab,Burayi ki Gham aur Azab waqti aur Sirf Dunyavi hi Nahi Balke wo Hamesha rahni wali hai,uska Ta,alluq Akhirat se bhi ..
Allahu Akbar Kabeera..
To jo Badi kar raha hai,to Wo waqti Bura Amal Nahi kar raha hai,balke wo Apne liye Hamesha Ka Gham bhi intekhab kar raha hai,Jabke Allah ne usko Har Ache aur Bure Amal ki Haqeeqat se aagah bhi farma diya hai,isiliye uska Asar bhi Bandeh per hi hoga.
Allah hame Bure Aamal se Mahfooz rakhe..Ameen..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like