AURAT KA SAR KE BAAL MUNDWANA ?

Sawal:Assalamualikum,MuftiSaab…

Meri Ehliya..sar ke baal nikalte Bolre..
2 baar typhoid fever ayatha..baal bht girre..tho kya sar ke baal nikalsakte…kya poochre…?
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Deen e islam ne Aurat ko Bada Maqam diya hai,aur uski khoobsurti ke Hifazat Asbaab ko bhi Mahfooz rakhne ki taleem di hai,Lehaza Aurat ke Sar ke Baal uski Zeenat me se hai,usko baghair kisi Sabab ke Nikalne ki ijazat bhi Nahi hai,Jab ke Umreh Jaisi Azeem ibadat ke waqt bhi usko Saare Baal mundwane ki Nahi balke kuch Baal cut karne ki hi ijazat di hai,kyu ke wo Aurat keliye Zeenat hai,
Haan,Agar Kuch Majboori wa Beemari ya kamzori ho aur Doctor ne Sar ke Baal(Hairs of Head) ke Nikalne me hi uska ilaj,Sehat wa Hifazat bataya ho to ab Sar ke Baal Aurat bhi Waqt e Mahdood keliye Nikal sakti hai,kyu ke Ab yaha Zaroorat hai.
(Al Ashbah Wan Nazaayir,Vol/2,Fatawa Hindiyyah,Vol/2),

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like