DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 392,Hadees No :2048

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Gunaho ki Adat Bana leta hai,to Allah uske Dil se Raham ko Nikal lete hain.
(Vol/2,H,No :2048),.
Dars : Yani Jo Shaks Bad Bakht hota hai,to uske dil me Raham baaqi Nahi rahta hai,Jab Raham hi Baaqi Nahi rahta to wo makhlooq ki kisi bhi cheez Walidain,Bivi Bache aur Rishtehdaar aur Parindeh aur charindeh etc..kisi per bhi usko Raham Karna Nahi aata hai,bus wo unse Apni Gharz ko hasil karna chahta hai,
Lekin Ye Deen e islam ki hi Barkat hai,ke Saari Dunya me agar kisi qaum me Raham kamil wa Haqeeqi hota hai,to Wo Qaum “MUSALMAN”hai,ke islam me kisi per Raham karne per bhi Nekiya di jati hain,aur Allah ki Qurbat bhi naseeb hoti hai,
■■ Jo Bandah Kasrat se Allah ka zikr karta hai,aur Islami Taleemaat per chalta hai,to Allah us bandeh ko Nek Bakhto me Shamil karleta hai,aur uske Dil me Raham ko daal deta hai,
Allah hame Nek Bakhto me shamil kare..Ameen.
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like