BAGHAIR WAZOO KE AZAAN KA HUKM

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar koi Baghir wazoo ke Azaan de to kiya azaan hojayegi ya Dobarah dena padta hai ?
(Mohammed Hussain),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Baghir Wazoo ke Azaan mat do.
(Jamiut Tirmizy,Vol/1,H,No :200),
To is Hadees ki Roushni me Ulama e kiram farmate hai,ke
Baghair Wazoo ka Azaan dena “Makrooh” hai,lehaza jo baghair wazoo ke azaan de to Azaan to hojayegi magar Karahat ke saath hogi,lautana zaroori Nahi hai,
Magar aysa Na de to ziyadah behter hai.

You might also like